Tuesday, December 21, 2010

DARD-E-SAWAL


me ek sawal hun mujh se koi nahi bach sakta me har dil me rahta hun

inshan k sath hi me bhi janam leta hun

inshan jab zindagi se pareshan ho jata he mujhe ishwar k pass bhejta he
>>> duniya bnane wale kya tere maan me samayi re tune kahe ko duniya banayi re....?

Or jab zindagi me qamyab ho jata he to mujhe un logo k pass bhejta he jo kabhi uske sathi rahe he or zindagi me uske jitne qamyab na ho paye ho >>> or kya kar raha he aaj kal tu..? itna kamjor kaise ho gaya he...? Kuch leta q nahi...?

Or apni qamyabi ki dhonsh jamata he

lekin ye mamuli sa inshan ye bhul gaya he ki mere bina wo kuch nahi he
use zindagi k har pal me meri jaroorat padhti he

mere bina wo subah ki bhaji bhi nahi le sakta chand pe jana to door ki baat he

na na na me badi baat nahi karta me to sach bata raha hun

subah me sabji leni ho sabji wale k pass mujhe bheja jata he >> bhaya kya kya he ..?
Tab wo btaega ki tamatar he bhindi he tinda he
or tum le paoge

pagal k maan me bhi me hota hun >>> me kon hun kiski mujhe talash he...

are me har ameer,garib,padhe likhe,angutha chap

puri duniya ki pahli jarurat hun

chahe duniya kuch kare na kare
me har waqt sath hota hun

me ek sacha premi hun or meri mehbuba ka naam jawab he
agar ye kah do ki hum dono mil k hi duniya chalate he to bhi galat nahi hoga

me har jagah uski talash me rahta hun
laila-majnu , soni-mahiwal ki pream kahani jo ki kuch dino ki thi tum inshano ne use kitna parshidh kar diya jab ki unhe tumne dekha bhi nahi hoga

or me har dum tumhare sath hun me kabhi ameer,garib gore,kale ka faraq bhi nahi karta sabke maan me brabar raha hun

fir bhi mujh pe dhyan nahi dete ho or meri love story pe film nahi bnate :(

jis din me or meri mehbuba duniya se chale jaenge samjho us din duniya hi end ho jaegi
me jab bahot dukhi tha to is mast ne mere dard ko samjha or is ne mujhe bola tention mat le me tera dard duniya tak le jaunga
or is ne dhabe pe mere bare me likha me iska ahsan nahi bhul sakta ye bahot mahan he

are iske charno ko dho k us bache hue pani ko aankho me lagao tumhari aankhe bhi khul jaegi andhe logo

han jane se pahle yahi kahunga mere bina duniya chalna mushkil hi nahi namumkin he

thanku mast tune apna wada nibhaya

4 comments:

  1. ye post hi sawal hai... kisi ko samjhe to jawab likhna :P

    ReplyDelete
  2. lekhak mahodey mera apse nivedan he ki aap ja k apni aowshadhi ko apne chikitsak ko dikhaeyn,

    mujhe lagta he ki aapki aowshadhi ka samay samapt hochuka he firbhi shreman g usi oshadhi ka upyog karrahe he,

    ayogye aowshadhi ne aapki budhdhi bhrasht kar diya he,jiska dushparinam yahan hum dekh rahe hen evam bhugat rahe hen......!

    ReplyDelete
  3. bahot gahrayi he is baat me ... ek sawal ne apni dastan batayi he sahi to he....samjh aane ko soch bhi wesi hon chahiye.... nice one dear good job

    ReplyDelete