Monday, December 20, 2010

GALAT_FAHMI



hajar khwahish-e aesi ki har khwahish pe dum nikle
bahot nikle mere arman magar fir bhi kam nikle

aaj 90% log galat fahmi me zinda he

koi chamtkar hoga hamari zindgi badal jaegi
( lekin hona kuch nahi he )

or galat fahmi me jine ki vajah bhi he
kyon ki ye sasura sach bahot kadwa he
isliye koi bhi iske moo nahi lagna chahta he bahot dard deta he ye sach

inan ko duniya me rahna hi kitne din he
to kyon koi sach k sath rah k dukh uthaega

is liye galat fahmi me rah k sabko khus rahna acha lagta he 8->

is duniya me hamre apne maa,baap,bhai,bahan
hamari khusi hamse chin lena chahte he wo hame apni galat fahmi se nikalne k liye
sach naam ki bekar si chij k kadwe kadwe bolvachan deke dukhi karte he :(

or khud is galat fahmi me khus hote he ki ham unki baato me aa k sudhar jaenge

huh kya hum bevkoof he jo sudhar jaenge

are galat fahmi hi jeevan he

insan k janam k sath galat fahmi ka bhi janam hota he jo uski maut tak sath rahti he

bacha paida hua uske maa baap galat fahmi me

ye bada ho k hamara naam roshan karega

bacha kuch samjhdar hota he khud galat fahmi me ki me ye karunga wo banuga

insan jab tak galat fahmi me jeeta he bahot khus rahta he

is pakau si zindgi me insan ko jo pal khusi k milte he wo 99% galat fahmi se milte he

jaise hi manhus sachai zindgi me aati he dukh start ho jate he

lekin is daur k insan ne bahot taraqee kar li he wo apni khusi ka raaj jaan gaya he

isliye usne apne liye galat fahmi me choor ho k rahe aesi jagah bhi bana li he

jiska naam "yahoo" he or mere jaise hajaro log is duniya ka hissa bane jo subah se le k sham tak is galat fahmi ki duniya me khus rahte he

yahan ka har user khud ko bahot special samjhta he or q na samjhe wo is galatfahmi me jine ko to is duniya ka hissa bana he

lekin mujhe dukh ye he ki yahan bhi log dukhi rahne lage he >> usne mujhe dhoka diya, isne mujhe gali di, wo mic lock kar k beth jata he, wo gande logo ko lata he room me

ab itna kyon sochte ho

unke bhi arman he unhe v apni bhadas nikalne do

isliye kahta hun apne man me insaf or sach jesi bimari ko fatkne bhi diya to tumhari zindgi dukhi ho jaegi

na kisi se sach or insaf ki umeed karo na bolo tum sada khus rahoge

galat fahmi ko chahe jitna kosa jaye me yahi galat fahmi me rahunga ki galatfahmi zindgi me khusiya bhar deti he

is galat fahmi ki vajah se hi mujhe yahoo me har koi apna dost lagta he
meri zindgi badal di he galat fahmi ne
me kafi mota ho gaya tha
jab se galat fahmi me rahne laga hun kafi slim ho gaya hun
aap bhi aaj hi order kare life ko aasan banaye

5 comments:

  1. AYEE HAYEE -- mai is mahan kalakar ko phir se daad deti hun jo mountain banate banate eak clown bana baitha ...waise yeh post sauna belt walon ke liye khatre ki ghanti hai... agar iise man kar chale tow phir kisi bhi slimming device ya slimming program ki zarurat hi nahi buss galat fehmi me hi jeete raho...

    ReplyDelete
  2. lekhak ki udan evam nasha ko dekh k lagta he ki lekhak ne ya to acharya khadag singh choraskya ki 2 - 4 kitabe padh le he ya fir abhi abhi shahrukh khan ki film devdas ka avlokan kiya he, vese lekhak badhai ka patr he ki usne samy ki daor se hatke vishaye ko chuna, aor veshaye ko chunte samaye tanik bhi na soncha ki bheer se hat k vishaye chunny ka parinam kiya hoga....
    _________badhai ho shreeman badhai ho_______

    ReplyDelete
  3. lekhak ki udan evam mansha ko dekh k lagta he ki lekhak ne ya to acharya khadag singh choraskya ki 2 - 4 kitabe padh le he ya fir abhi abhi shahrukh khan ki film devdas ka avlokan kiya he,aor film ke sahayak patr chunni babu se kafi parbhavit huye he, vese lekhak badhai ka patr he ki usne samy ki daor se hatke vishaye ko chuna, aor veshaye ko chunte samaye tanik bhi na soncha ki bheer se hat k vishaye chunny ka parinam kiya hoga....
    _________badhai ho shreeman badhai ho_______

    ReplyDelete
  4. ohhh veeleee haramkhor kuch kaam kar yeh kya hai sale pakau kisi ko send karunga to mujhe delete maar dega friend list se

    ReplyDelete
  5. fulwanti ji aise comment na karo ... logo ko galatfahmi na ho jaaye ki aap gobhi ka fool ho :P ... mast bas ker re galtafahmi me na ji... ab thora reality me aa jaa... khayali pulav chor aur daaal chawal kha :)

    ReplyDelete